Translate

Thursday, May 16, 2013

Child labour

Child Labour

Child labour kisi bhi mushray ka nasoor ha jo kay kabhi bhi khatam nai ho skta ha.is cheez ka ziyada asar janoobi asia ya un ghreeb mumalik pr ha jin mulkon main khurak,sehat,taleem ka aitmad baksh zaraye nai hain farz karin ager aik ghar main 10 afraad rehtay hain or un main kamanay wala aik hi admi ha or is mehngai k daur main un ka kahrcha kaisay poora ho skta ha is liye un ka hath batanay k liye us ki biwi or bachon ko b majboori k tehat kaam krna parta ha jis umar main un k hathon main khilonay or kitabain honi chaiye us umer main un k hathon main auzaar,jharoo or bohat se kaam karnay k aalay hotay hain ye aik bohat bara circle ha jo k jitni baar khatam kiya jaye unta hi bara hota jata ha or is muaamalay main inssan b kuch nai kar skta un bachon k maa baap b majboor hain is bimari se laachar mumalik main pakistan,bangladesh,india or bohat se ghreem mumalik.ager hum is baat k zimmaydaar un bachon k maa baap ko tehraain toh wo bilkul ghalat ha Q k kon chaye ga k jub sari duniya ka bachy aaram se so ya khel rahy hn toh un ka bach kaam kr raha ho un ki bhi majboori ha wo bhi is muammlay main kuch nai kr sktay hain mujhay toh is muslay ka hal abhi tk toh uthta nazer nai ata ha.
...:::A_A_K:::...

No comments:

Post a Comment